Sunday 22 September 2019

12 volt dc soldering iron using car heater plug kaise banaye homemade solution

Dear friends ,
Aaj hum batayenge ki 12 volt ki battery se chalne wala soldering iron kaise banaye wo bhi ghar par aur kam kimat me. Ise hum 12 volt dc soldering iron kahte hai. Isko banane ke liye hume car me lagne wale heater plug ki jarurat padegi. Yah market me hardware ki dukan par lagbhag 60 - 70 rs me mil jayega. Ye dikhne me aisa hota hai.
Heater plug
Ise banane ke liye hume chahiye neeche di gayi kuch cheezon ki zarurat padegi -

1. Heater plug :- Sabse pahle hume soldering iron ki main cheez heater plug ki jarurat hogi jo ki market me aasani se mil jayegi. Heater plug lagbhag 60 -90 rs. me market me kisi bhi auto parts ki shop par mil jayega. Yah heater cars, magic, van, etc ke engine ko garm karne me use hota hai. Heater ka upar wala hissa jisme choodiyan bani hui hain, minus hota hai aur jo sabse upar ki taraf dikhaya gaya hai wo hissa plus hota hai, in dono wires ko kisi battery se current dene par yah garm hota hai.

2. Copper patti :- copper patti jaisa ki photo me dikhayi gayi hai iski hume jarurat hogi, agar aap chahen to copper patti ki jagah 2 mm ki copper rod bhi le sakte hai. Yah aapki jarurat ke upar depend karta hai ki aapko kitni moti ya patli knob banani hai.

Copper Patti / Strip
3. 2 copper wires 2.5 se 5 mm mote aur lagbhag 3 - 4 fit lambe. taki aap wires ko battery se connect karke aasaani se apna kam kar sako. Neeche photo me pura wire ka bundal dikhaya gaya hai, aapko jitni jarurat ho bus usi hisab se aapko wire lena hai.

copper wire bundal


No comments:

Post a Comment